ek story likhi thi maine.....( college main ek couple tha. ladka kai saalo ke baad uski so called girl friend ko dur se dekhta hai. aur use purani yaade taja ho jati hai. us waqt phone nahi the chitti se hi kaam chalana padta tha. to sab se pahele boy chitti likhta hai)
b: ladke ne likhe huve latter. g: ladki ne likhe huve latter
first letter after lots of year from boy to girl
b :- hi how r u ? achi hi hogi warana meri yaad itne saalo mai ek baar to aati , aur khuch to baate mujse tum karti anyway just joking ye tum surprice to nahi huvi na aur ho gai to chalo acha hai mere sur per koi to price lagayega ..yu achanak kaise yaad agai kahoge to wo maine fir kabhi bataunga kya kar rahe ho aaj kal
g :- ya i m fine actully in pink after reading your latter. yaado ko to aaisa hai ki yaad aane ke liye bhul na bhi jaruri hai. aur meri bhulneki aadat nahi hai wo to tum jante hi hoge uhi mai class main top nahi karti thi...u know na every year toper. aur khali sur per kaunsa price lagayenge so im not surpriced . aur baki sab thik hai mai ek mnc main kaam karti hu ,aur waha sara time nikal jata hai , tum kya kar rahe ho beside yaado ke Mr Bhulakad
b :- ha ha ha toper ..abhi bhi wahi attitude hai . badla nahi muje bhulakad kahete ho shayad tum bhul gai tumhare toper rahene ka hat trick maine breack jkiya tha jiske wajese 2 din ganga jamana bahai thi ankho se tumne. char din batte nahi ki thi. mananeke liye 5 cadbury 1 rose sharbat aur 3 pizza kha gai thi tab jake khuch fir se normal huvi thi. kya din the yaar
acha laga sunke ki tum job karti ho waise bhi tumhari khwaish thi apne pairo pe khade hone ki jo puri huvi...jarur boss giri hi karti rahogi waise bhi sun ne ki aadat to hai nahi tumhe. maine mere painting ke shokh ko professionalisum bana diya ...i m doing painting now a days jo ache daamo main bik jati hai aur ghar chal raha hai. nai nai jagaho per janeko milta hai aur kafi logo se jaan pahechan badh gai bhi jati hai
g : ohh pls chup hi raho tum tumhare top aane ke piche meri hi galti thi tumhe sikhte sikhate main hi padhai bhul gai . ha ha aaj wo baate wo jagda yaad kare to hasi aajati hai. artist babu ...hath mai brush and tube ( paint wala off course may be tum kalakar logo ka khuch bharos nahi toothpast se bhi kam chalaloge ha ha) tum ne acha kiya jo painting chuna waise bhi tumhari tarah tumhari painting ko samaj na mushkil hai so logo ko khuch naya lage ga aur kharid te honge...ha ha no seriously u r very good painter maine tumhe kaha tha na ek din tum jarur bade kalakar banoge. tum ne meri bhi painting banai thi aaj tak sambhal ke rakhi hai aur logo se jabhi suna uske baare main muje wo din yaad aajate the. is liye kabhi tumhe bhul hi nahi paye Mr painter
b : ha yaad hai wo painting bana neke liye 4 din gaye the aur fir bas ek hi baat muje chu kar chali gai thi tumhari jab dosto ne kaha tha ki painting mai aur tum main koi farak nahi hai. aur tumne jat se javab diya tha "ye meri tarah bol nahi sakti" sach baat thi aaj tumhari kuch painting mere pass hai per wo tumhari tarah muskura sakti hai per mujse baate nahi kar sakti. har din bhagwan ki tarah diwar per tangi raheti hai aur meri sari baate sunti raheti hai per javab ek baar bhi nahi deti bas wo us din se khamosh ho gai hai jis din se maine tumhe pucha tha college ke baad sath rahenge ya nahi...aur tumhara javab aaj tak main us hasti huvi tasvir se samaj nahi paya tha....aaj itne salo baad tumhe maine dekha gadi mai jate huve so socha apne Prabhu se puch lu is sudama ko jante ho ya nahi....
g : ohh meri khamoshi ko tum jante the meri majboori ko bhi tum jante the aur is liye maine tumhe khuch bataye bager waha se chale jana hi thik samja. ye baat nahi thi ki tumhari aankhe main nahi padh sakti thi per meri ki huvi padhai se muje mere parivar walo ke liye khuch karna tha mere liye khuch karna tha ...aur wo karte karte kab jindagi guzar gai pata nahi chala. tum khush nasib the jo tumhare pass meri painting to thi per yaha mere pass sivay tumhari yaado khuch nahi tha. wo jo photo humne sath main nikale the wo bhi albam tum chupake le gaye the last din ko. aur pls muje bhagwan mat banao bhagwan ke aangan se koi chori nahi karta aur tum bhagwan ki kafi chize chura gaye hai.....u better knw
b : jaise ke maine churai aur tumne chori karne di ..waha bhagwan ..ek hath se tali nahi bajti . tum bhul gaye mere liye humesha intazar karte the . khuch bhi chiz nai khane ko lai ho to sab se pahele muje hi dete the . kahi bhi jana hoto pahele main ja raha hu ya nahiconfirm karte the fir hi jate the so kaise kahe sakte ho ki main tumhe attantion nahi du ya muje tumse khuch feeling na ho. ab ye maat kahena ki ye to but obvious hai main aaise hi karti thi. tum khuch galat samje. tum samaj gai thi mere dil ki baat is liye us din meri aankho mai dekh kar bina khuch kahe chali gai.
g : main chali gai to kya tum muje piche se bulane nahi aasakte the kya????
b : matlab????
g : jaruri nahi ki har khamoshi ka matlab wahi ho jo khud ke dimag main chal raha ho. ek baar bhi aay tum puch ne ko kya socha tumne. bas painter babu ko ek aur bahana mil gaya painting nikal ne ka gum ke sagar main doob ke achi achi painting banai hogi aur aaj usi ke waje se chamak rahe honge.
b : kya tum khuch kaheti to pata chalta na muje laga ki tumhe pasand nahi aaya mera tumhare baare main sochna so maine apne dil par pathar rakh diya aur fir tumhe na milneki kasam kha li
g ;to fir ab kyu mile
b ; wo kasam ka koi maine time shedule nahi bana ya tha ki jite ji nahi milunga . jab tak ho sake nahi mila. per ab faida kya tumhari to shadi bhi ho gai rahegi
g : abhi bhi khayali pulav pakane ka band nahi kiya. mujse puch that i m married aur still happy?
b : to to kya tumhari shadi nahi huvi.....
g : tumhari huvi
b : nahi huvi, time hi nahi mila painting aur bahar ghumne se. tumhari shadi ?
g : mere pass to time hi time hai west karne ko so time pass karne ke liye ek do shadi karli hogi maine hai na. yahi soch rahe ho na
b : nahi nahi . achi baat hai nahi huvi to yahi umar hai shadi karneki . ek baar settle hojaye life main paiso ke sath to fir jeevansathi hi dhund na hota hai.
g :kis ne kaha nahi huvi , baate chalu hai engagement hone wali hai meri
b: ha to tumhe acha ladka mil gaya. verygood. kab hai engagement
g : ek baar bhi pucha kyu kar rahi ho? abhi waqt hai tumhare pass ? jindagi ne dusra moka diya hai. shayad humara milna koi sanjog to nahi ho sakta?
ya sirf mere dost banke mere shadi ke albam mai ek gift leke photo nikal ne ke liye wapas aaye ho. mana ki painting bolti nahi per jise dekh kar hasti hai us se wo kitna chahti hogi uska andazato dekhne walo ko hona chahiye ki nahi. painting ki muskan se agar use chune wala bhi muskura uthe uska matlab hota hai wo maan hi maan main khuch aaise relation bana chuka hai ki aatmiyata khud b khud us painting ke sath hojati hai.........kab samjoge tum
b : itne saalo ke baad... tum jo kahe rahi ho wo...kya karu main
g : date of engagement is 1st may.........bye