Monday, September 8, 2014

visarjan

Raaste per bahot shor tha. Dekha to ek tempo ke piche bahot sare samaj ke bhawishya ( young bachhe) nach rahe the. DJ. Lagaya tha aur tempo main jankh kar dekha to Humare Ganpati ji biraj maan the. Pucha to pata chala Visarjan ko ja rahe hai...
Bebi doll main sone di...lungi dance ke ati priay gito pe log jum rahe hai aur thodi thodi der mai ganpati ke pass jakke unhe bhi ishare kar rahe hai.ek pal aaisa laga ki abhi ganpati ji ko pitambari ke badle lungi pahena denge...ek don thin char ganpati cha jai jai kar ke lok slogan ke badle char bottle vodka ne le li thi..munni badnam huvi ganpati tere liye hi bajna baki tha...kya ye hai apni sanskruti? Kis prakar visarjan hona chahiye ye pata bhi nahi...Ganpati ke sthapna ki vaha society main to ye pata karna mushkil ho jata hai ki ganpati sthapit huve hai ya yo yo honeysingh...?
D.J. kis occasions main bajate hai wahi bhul gaye hai..bas nachna hai yehi moto rahe gaya...wo bhi nagin dance karna ya khuch sabhya nach hota hai wah bhi bhul gaye..kya Ganpati ko ye sab chahiye? Unko aane ka perpous kya hai....jate waqt ankho main pani hona chahiye ya dil hai pani pani song per thirak te kadam....
Visarjan prabhu ka ho raha hai ya humaro sanskruti ka....? 

0 comments:

Post a Comment